Whatsapp status editing kinemaster 2021

Whatsapp status editing kinemaster 2021

Hello guys kaise ho sabhi hope ki aap sabhi acche honge . Guys finally kafi dino baad aap sabhi ke liye new video le kar ke aa gaya hu . Aaj ka jo tutorial hai vo bhi shake effect wala hai jo ki beat ke sath photo change hota hai . Ye status edit hua hai guys amplifier song pe jo ki bahot hai unique lagta hai .







Guys is video ko edit karne me sirf aapko song ki jarurat padegi aur ek border add kar lena hai . Sirf ye dono material se hi hum aaj ka status edit karne sale hai . Iska link aapko is page pe hi mil jayega aap easily download kar sakte hai . Song aapko YouTube pe bhi mil jayega waha se bhi aap download kar sakte hai .

Material download karne me kuch problem aata hai to aap telegram channel join kar sakte hai waha pe bhi mai material upload karte hai . Telegram se aap direct apne gallery me save kar sakte hai jo material aapko chahiye . Aur kuch problem ho to instagram pe DM kar sakte ho aur comment sectione me bhi bta sakte ho mai aapke problem ka solution de dunga .

Music is video me hai 👇👇



Guys aaj ka status banane ke liye aapko lagbhag 30 photo chahiye . Aur pahle apko kinemaster download kar lena hai agar aapke pas nhi hai to . Link video ke description me mil jayega .

Status banane ke liye guys sabse pahle aapko kinemaster open karna hai aur full screen wala ratio select kar lena hai iske baad settings wale option me jana hai jo ki left side mil jayega . Waha se editing wale option me jana hai aur Default duration of a photo clip ko pura zero kar lena hai aur fill screen wale option me tick karena hai . Iske baad aapko 10 photo select kar lena hai . 

Iske baad guys fir se setting wale option jana hai aur Default duration of a photo clip ko 1.5 tak rakh lena hai ye karne ke baad fir media me jana hai aur 10 photo phir se select kar lena hai . Iske baad fir se setting me jana hai aur fire default ko zero kar lena hai aur media se fir se 15 photo select kar lena hai . Iske baad settings ko fir se 1.5 kar ke 2 photo aur le lena hai .

Ye ho jane ke baad aapko layer wale option me jana hai aur ek video le lena hai link aapko is page pe mil jayega . Video lene ke baad right side kuch option milega usko aapko scroll karna fir niche extract audio ka option milega waha click kar lena hai aur fir jo video hai usko delet kar lena hai song lag jayega . 

Full screen Border 👇👇👇



Song lene ke baad ab aapko beat laga lena hai jaha jaha  se aap photo change karna chahte hai . Video me aapko bataya gaya hai ki aapko kaise lagana hai .

Ye karne ke baad aapko photo me clip graphic laga lena hai iske liye sabse pahle aapko call me dj download kar lena hai . Download kaise karna hai link description me mil jayega . Download karne ke baad ek ek sabhi photo me apply kar lena hai . Iske baad aapko status ready ho jayega aap export kar sakte hai .

Hope video aapko pasand aaya hoga .

.

Leave a Comment